Monday 19 March 2012

Ishkiyana Shayaries इश्कियाना शायारिज


1) Shayad firse vo taqdir mil jaye, jivan ka sabse hasin vo pal mil jaye, chal firse banaye sagar pe ret ka makan, shayad vapas apna BACHPAN mil jaye
2) Khuda hamko aisi khudai na de,
Ki apne siwa kuch dikhayi na de,
Mujhe aisi jannat nahin chahiye,
Jaha se mera Dost dikhayi na de.
3) Aakhon me kyun aansu jhalak jate hai,Tanhaiyo me kyun gham yaad aate hai,Aansu pochkar koi yeh bata de hume,Dur rehne wale dost hi aksar kyun yaad aate hai.
4) Chote se dil ke afsane bahut hai, zindagi se jyada zakhm bahut hai, mar dalti kabki ye duniya,kambakt pyaar ki duwayon me asar bahut hai
5) Mohobbat ki kashti me sawaar the hum,socha tha pahunch jayenge chahat ke gaon mein,dubne lage to hosh aaya,hum to baithe the kagaz ki naav mein.
6) Har insan ki alag phachan hoti hai hamare sms ki alag shan hoti hai har kisi ko nahi karte sms magar jinko karte hai osme hamari jaan hoti hai
7) Aye khuda ankho ko kuch aisi khudai de
jidhar dekhu udhar vo dikhai de.
kash aisa taalmel ho hawa me
unko pukaru aur unhi ko sunai de…
8) Har pal pe tera hi nam hoga,tere har kadam par duniya ka salam hoga, mushkilon ka samna himat se karna dekhna 1 din waqt B tera gulam hoga . ..
9) wo aankhon mein ashq liye bethe hai,
hum bhi unke pyaar pagal hue bethe hai,
hum to jaan dene ko bhi tayyar hai,
magar vo hamari jaan bane bethe hain..
10) Aaj fir kuch kami hai tere bagair, na rang hai na roshni hai tere bagair. Waqt apni raftaar se chal raha hai….. Bus dhadkan thami hai tere bagair!


Dost ban kar saare raah mil gaya suraj
Hum itne khush naseeb the
jab thori si roshni mangi to aur jal gaya suraj.
Din beet gaye, raat beet gayi,
subha hogayi har baat beet gayi,
rah gaye bas tumhari ahsaas, aur tumhare saath meri hosh udh gayi…..
hum udaas to nahi bas ayse hi khamosh rahte hai,
hum kisi se juda to nahi bas ayse hi judai ke geet sunte hai,
hum pyaar ke maare to nahi bas ayse hi bewafai pe Vishwaas karte hai,
hum duniya mei akele to nahi bas ayse hi tanhai ko pasand karte hai,
bas hum to mazze me hai isliye shayri likte hai.
Dil mei chupi thi ek baat jo kahe na payi unse
shayad darti thi mei na jane kis se
usne bhi kaha tha kayi baar
par maine hi taal diya bachpan se…
kayi saal baad aaj fir mile hai hum usse
magar kambaqt woh hai bahut door humse

paas rehkar juda si lagti hai
zindigi bewafa si lagti hai
main tumhaare bagair bhi jee loon
ye duwa bad duwa si lagti hai

Tamam umar tujhe zindigi ka pyaar mile
khuda kare ki ye khushi tujhko baar baar mile

muddat beet gayee khuwab nahi aate hain
be adab hain unhai aadaab nahi aate hain
meri aankhon tumhai rone ka saleeka bhi nahi
roz dariyaon main sailaab nahi aate hain
kuch to duniya ne yahaan maut bicha rakkhi hai
kuch humain jeene ke aadaab nahi aate hain
yeh bhi ek kisim ka sangeeen marz hai
neend aati hai per khuwab nahi aate hai

maine to kaagaz ke phool ki bhi izzat ki hai
log kaliyon ko pairon se masal daite hain

har shaks keh raha hai tujhe dekhne ke baad
daawa mera bajaa hai tujhe dekhne ke baad
hum aake tere sheher main waapas na jayenge
ye faisla kiya hai tujhe daikhna ke baad
khete hain tujhe log maseeha magar yahaan
ek shaks mar gaya haitujhe daikhne ke baad

Phool hun Gulaab ka….
Chameli ka mat samjhna….
Aashiq hun aapka….
Apni Saheli ka mat samjhna…..
Aag suraj main hoti hai ,
Jalna dharti ko padta hai
Mohabbat aankhen karti hain ,
Tadapna dil ko padta hai
Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte….
Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai….
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de
Baho me lele aur khud ko bheeg jane de
Hai jo seene mein quaid dariya wo chut jayega
Hai itna dard ki tera daman bheeg jayega..
Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye

Rahne Do Asmaan Zamin Ki Talash Karo
Sab Kuch Yahi Hai Na Kahi Aur Talash Karo
Har Aarju Puri Ho To Jine Ka Kya Maza
Jine K Liye Bas Ek Kami Ki Talash Karo…
`
Duriya Hi Dosto Ko NAZDEEK Lati Hai
Duriya Hi Ek Duje Ki YAAD Dilati Hai
Dur Rehkar KAREEB Hai Dost Itna
Duriya Hi Is Bat Ka EHSAS Dilati Hai…
`
Nafrat Koi Kar Nhe Sakta
Apke Pyar Ka Karz Koi Bhar Nhe Sakta
Dil Ke Sbse Kareb Hai Apka Pyar
Apse Badkar Koi Pyara Ho Nhi Sakta…
`
Ehsaas Bohat Hoga Jab Chor Jaenge
Roenge Bohat Magar Ansoo Na Aenge
Jaab Saath Na De Koi To Awaz Dena
Asmaan Par Bhi Honge To Laut Aenge…
`
Koi Ankho Ankho Se Bat Karleta He
Koi Ankho Ankho Se Mulakat Kar Leta He
Bada Muskil He Javab Dena
Jab Koi Khamos Rehkar Saval Kar Leta He…
`
Har Us Lamhe Me Yaad Aaoonga
Jab Tum Tanhayee Me Roya Karogi
Jagte Jagte Thak Kar Soya Karogi
Ankh Ke Band Hote Hi Yaad Aaoonga…
`
Ae Aasmaan!
Apne Chand Pe Itna Ghuroor Mat Kar
Ek Chand Sa Dost Hum Bhi Rakhte Hain
Log Tareef Karte Hain Tere Chand Ki
Par Misaal Mere Dost Ki Dete Hain…..
`
Jasbaate Ishq Naakaam Naa Hone Denge
Dil Ki Duniya Mein Kabhi Shaam Naa Hone Denge
Dosti Ka Har Ilzaam Apne Sar Par Le Lenge
Par Dost Hum Tumhe Badnaam Na Hone Denge…
`
Hum Se Bichar Kar Benaam Ho Jao Gay
Sodagaron K Haaton Neelam Ho Jao Gay
Humain Acha Nahi Lagta Tera Har 1 Se Milna
Har Kissi Se Milo Gay Tou Aam Ho Jao Gay…
`
Mary Dil Ka Dard Kis Ne Dikha Hai
Mujhe Bass Khuda Ne Tarptey Dikha Hai
Hum Tanhai Ma Baithe Rote Hain
Logo Ne Humen Mahfil Ma Hasty Dikha Hai…
Apki Ahgoshi Ka Tarana Suhana Lage
Ek Pal Churalu Agar Burana Lage
Aap Hame Milkar Bhul Jaoge Par
Aapko Bhulane Me Shayad Hame Zamana Lage…
`
Mere Pyar Ko Apni Takdir Banalo
Meri Yado Ki Dil Me Zanzir Banalo
Kagaz Pe Lakire Bahut Khich Li
Ab Unko Milakar Meri TasVir Banalo…
`
Hawa K Jhonko Ka Hisab Kya Rakhna
Jo Bit Gaya Use Yad Kya Rakhna
Bas Ye Sochkar Muskura Diye Hum
Ki Apni Udasi Se Dusro Ko Udas Kya Rakhna!…
`
Dil Ki Aag Ko Ashko Se Bujha Lenge
Ayegi Jo Yaad Tumari Jaam Utha Lenge
Hamse Behtar Koi Mile To Btana
Tumari Rahon Se Khud Ko Hata Lenge…
`
Sirf Chahne Se Koi Baat Nhi Hoti
Suraj K Samne Kabhi Rat Nhi Hoti
Hum Chahte He Jinhe Jan Se Bhi Jyada
Wo Samne He Par Baat Bhi Nhi Hoti …
`
Tere Pyar Ko,Tere Chaht Ko Salam
Kadmo Ko Tere,Teri Ahat Ko Salam
Jis Pyar Se Tune Savari Zindgi Meri
E Mere Yar Teri Is Inayat Ko Salam…
`
Kuch Beete Hue Lamhon Se Mulaqat Hui
Kuch Toote Hue Sapno Se Baat Hui
Yaad Aaye Wo Kisse Purane To
Aankho Se Bundon Ki Barsat Hui…
`
Daag Ansuon Se Dhoye Hain
Jab Bhi Tanha Huye Hain Roye Hain
Dil Mein Kyon Na Uge Yaad Teri
Dil Mein Tere Hi Khawab Boye Hain…
`
Pyar Unka Bhulaya Na Gaya
Unke Baad Kabhi Muskura Na Gaya
Unki To Berukhi Me Bhi Wo Ada Thi Zalim
Ki Bewfa Ka Ilzam B Unpe Lagaya Na Gaya…
`
Dard Hota Nahi Duniya Ko Dikhane K Liye
Har Koi Rota Nahi Ansu Bahane K Liye
Ruthne Ka Maza To Tab Aata Hai
Jab Koi Apna Ho Manane K Liye…
Koshish Karo Ke Koi Tum Se Na Roothe
Zindagi Main Apno Ka Saath Na Choote
Rishta Koi Bhi Ho Usey Aise Nibhao
Ke Us Rishtey Ki Dor Zindagi Bhar Na Toote…
`
Chaho To Dil Se Hamko Mita Dena
Chaho To Humko Bhula Dena
Lekin Yeh Vaada Karo Ki Jab Yaad Aye
Rona Mat Bus Sirf Muskura Dena…
`
Ae Chand Tu Unko Mera Paigam Keh Dena
Khushi Ka Din Aur Hasi Ki Sham Keh Dena
Jab Wo Dekhe Tuje Bahar Akar
To Unko Mera Salam Keh Dena…
`
Har Koi Pyar Ke Liye Tarapta Hai
Har Koi Pyar Ke Liye Rota Hai
Mere Pyar Ko Galat Mat Samajna
Pyar To Dosti Mein Bhi Hota Hai…
`
Is Zindagi Ka Koi Sahara Nahi Hay
Is Duniya Me Koi Hamara Nahi Hay
Chua Unka Haath To Wo Bhi Bole
DOST Ye Haath Hamara Nahi Hay…
`
Trasta Hai Dil Teri Awaaz K Liye
Tere Mohabbat Bhary Alfaaz K Liye
Kar 2 Humain Fanna Apni 1 Adda Se
Taraptay Hain Hum Teri Is Saza K Liye…
`
Dil Ki Aag Ko Ashkon Se Bujha Dengay
Aaye Jo Teri Yad Dil Ko Saja Dengay
Hum Se Behtar Mila Koi Tou Bata Dena
Khud Ko Tumhare Rastey Se Hata Dengey…
`
Jeena Chahte Hai Magar Zindagi Raas Nahi Aati
Marna Chahte Hai Magar Maut Paas Nahi Aati
Bahut Udaas Hain Hum Is Zindagi Se
Kismat Bhi Tadapne Se Baaz Nahi Aati…
`
Sirf Chahne Se Koi Baat Nhi Hoti
Suraj K Samne Kabhi Rat Nhi Hoti
Hum Chahte He Jinhe Jan Se Bhi Jyada
Wo Samne He Par Baat Bhi Nhi Hoti …
`
Rat Huee Jab Sham Ke Bad
Teri Yad Aayi Har Bat Ke Bad
Hamne Khamosh Rahkar Bhi Dekha
Teri Aawaz Aayi Har Saans Ke Bad…
Jhijhak Ye Hey Ke Jo Maange Dua To Kia Maange
Usey To Sari Khaber Hey Phir Is Se Kia Maange
Jo Baat Se Gurezaan Ho Is Se Kia Poochain
Jo Dil Ka Bhed Samajhta Ho Is Se Kia Maange…
`
Sapne Ki Tarah Tujhe Saja Ke Rakhon
Chandni Raat Ki Nazron Se Chupa Ke Rakhon
Meri Taqdir Mere Sath Nahi Warna
Zindagi Bhar Tujhe Murga Bana Ke Rakhon…
`
Kisi Khushnasib Ki Takdir Hain Ap
Khwabo Ki Sachi Tasvir Hai Ap
Aur Kya Kahe Aap Ki Shan Me
Mere Hathon Me DOSTI Ki Lakeer Hain Ap…
`
Sabhi Ko Sab Kuch Nahi Milta
Nadi Ki Har Lehar Ko Sahil Nahi Milta
Ye Dil Walon Ki Duniya Hai Dost
Kisi Se Dil Nahi Milta To Koi Dil Se Nahi Milta…
`
Kal Ko Milne Ki Aas Rehne Do
Zindagi Ki Baqi Pyas Rhne Do
Apni Khushiyan Smait Lo Jana
Mujh Ko U Hi Udas Rehne Do…
`
Pyar Se Pyar Karna Bhi 1 Nasha Hai
Dil Leke Dil Dena Bhi 1 Nasha Hai
Dilo Me Dard To Hota Hi Hai
Magar Uss Dard Ko Peena Bhi 1 Nasha Hai…
`
Jin K Roothnay Se Tarap Jati Hai Rooh Apni
Kesay Mumkin Hai Unn Se Khafa Hona
Jin Ki Dehliz Se Wabasta Hai Zindgi Apni
Kesay Mumkin Hai Unn Se Judaa Hona…
`
Tere Dil Ko Sajayenge Apne Arman Dekar
Tere Labo Ko Hasayenge Apni Muskan Dekar
Dosti Ki Kasam Tujhe Kafan Se Bhi Utha Layenge
Tere Sharir Me Apni Jaan Dekar…..
`
Kuch Log Zindgi Me Daga Pate Hai
Zindgi Kitni Anmol Hai Ye Bhuljate Hai
Zindgi Jina To GULAB Se Sikho
Jo Khud Tutkar 2 Dilo Ko Mila Jate Hai…
`
Phulo Se Bagiya Mahekti Rahe
Sitaro Se Duniya Chamakti Rahe
Hum Rahe Na Rahe Hamari Dua Hai Rub Se
Aapki Kismat Hamesha Chamakti Rahe…
Milna Itfak Tha Bichdna Nasib Tha
Wo Itna Dur Hua Jitna Karib Tha
Usko Dekhne Ke Liye Tarsti Rehgai Meri Ankhen
Jiski Hateli Pe Mera Nasib Tha…
`
Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai
Meri Har Aah Har Dard Samjhti Hai
Pata Hai Majbur Hai Tu Aur Main Bhi
Phir Bhi Aankhen Didar Ko Tarasti Hai…
`
Ajnabi Ban K Koi Aaya Tha
Aisa Laga Vo Mera Saaya Tha
Log Karte Hai Roshni Ghar Me
Usne To Dil Me Diya Jalaya Tha…
`
Najane Tumse Pyaar Itna Kyun Karte Hain
Tumhari Ek Muskan Pe Hum Aaj Bhi Marte Hain
Is Pyar Ne Aisi Halat Kar Di Humari
Ke Ab To Hum Hansne Se Bhi Darte Hain…
`
Udas Na Hona Kyon Ke Mai Sath Hoon
Samnay Nahi Par Aas Paas Hoon
Aankhon Ko Band Kar Ke Dil Se Yaad Karna
Main Dosti Ka Ik Haseen Ehsas Hoon…
`
Aap Ke Leay Phoolon Mein Gulab Acha Lagta Hai
Her Chehre Par Shabab Acha Lagta Hai
Ap Hamesha Naak Se Chowe Nikalte Rahen
Hamein Apka Yahi Andaz Acha Lagta Hai…
`
Khuda Kabhi Na Kare Gham Se Hamkinar Tujhe
Yehi Dua Hai Dil Se Bar Bar Tujhe
Teri Zindagi Khilay Bahar Ki Tarha
Khiza Kabhi Na Mehsus Ho Tujhe..
`
Jis Ka Wajood Nahi Wo Hasti Kis Kaam Ki
Jahan Dil Na Lage Wo Basti Kis Kaam Ki
Yaad Aap Ki Aye Or Hum Sms Na Karen
To Phir Ye Apni Dosti Kis Kaam Ki…
`
Main Zindagi Ke Rastey Se Chup Chap Bikhar Jata
Agar Aik Roz Bhi Tanhai Se Dar Jata
Saamne Manzil Thi Or Pechay Uski Awaz
Rukta To Safar Jata Chalta To Bichar Jata…
`
Yarab Tere Mehbob Ka Jalwa Dikha De
Us Husn-E-Mujassam Ka Sarapa Dikha De
Bas Mere Dil Ki Yahi Dua Hai Malik
Is Sms Ke Bhejney Or Parhney Wale Ko Madina Dikha De…
Ho Gai Saanjh Kisi Ke Intzaar Me
Beet Gai Raat Kisi Ke Intzaar Me
Fir Hua Savera Kisike Intzaar Me
Intzaar Ki Aadat Pad Gai Kisi Ke Intzar Mein…
`
Andhere Ke Saaye Me Dhadkan
Yun Nazar Ki Baat Ki Aur Dil Chura Gaye
Andhere Ke Saaye Me Dhadkan Suna Gaye
Hum To Samjhe The Ajnabi Aapko
Aap To Humein Apna Bana Gaye……
`
Muskilein Dil Ke Iraade Aazmayegi
Khwaabo Ke Parde Dil Se Hatayegi
Gir Kar Tu Hosla Mat Khona Dost
Ye Thokarein Hi Tujhe Chalna Sikhayegi…
`
Muskilon Me Bhaag Jana Aasan Hota Hai
Har Pehlu ZINDAGI Ka Imtihaan Hota Hai
Darne Walo Ko Kuch Milta Nahi Zindagi Me
Ladne Walo Ke Kadmo Me Jahan Hota Hai…
`
Chamka Jo Chota Sa Sitara Hai
Toote Dil Ka Yahi Sahara Hai
Raaz Khulta Hai Waqt Padhne Par
Kis Kadar Kaun Kisko Pyaara Hai…
`
Din Hua Hai To Raat Bhi Hogi
Ho Mat Udaas Kabhi To Baat Bhi Hogi
Itne Pyaar Se Dosti Ki Hai
Khuda Ki Kasam, Zindagi Rahi To Mulaqat Bhi Hogi…
`
Kuch Bikhre Sapne Hai Kuch Tuty Yaadein Hai
Ek Chota Sa Asmaan Aur Umeedon Ki Zameen Hai
Yun To Bahut Kuch Hai Zindagi Me
Sirf Aapno Ke Beech Aapki Kami Hai…
`
Dosti Cheez Nahi Jatane Ki
Hamein Aadat Nahi Kisi Ko Bhulane Ki
Hum Is Liye Milte Hai Kum Kyon Ke
Nazar Lag Jaati Hai Rishton Ko Zamane Ki…
`
Maut Mangte Hain To Zindgi Khafa Ho Jati Hai
Zehar Lete Hai To Wo B Dava Ho Jati Hai
Tu Hi Bata Aai Mere Dost Kya Karun
Jis Ko B Chahte Hai Bewafa Ho Jati Hai…
`
Mohabbat Mujhe Thi Usse Itni Sanam
Yaadon Main Dil Tadapta Raha
Maut Bhi Meri Chahat Ko Rok Na Saki
Kabar Main Bhi Dil Dhadkta Raha…
Dil Gumsum, Zubaan Khamosh
Ye Aankhein Aaj Yu Nam Kyu Hai
Jise Kabhi Paya Hi Na Tha
Unhe Aaj Khone Ka Gum Kyu Hai…
`
Jub Khamosh Aankho Se Baat Hoti Hai
Aise Hi Mohabbat Ki Suruwat Hoti Hai
Tumhare Hi Khayalo Mein Khoye Rehte Hain
Pata Nahi Kab Din Kab Raat Hoti Hai…
`
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lage
Koi Achha B Is Kadar Na Lage
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se
Jis Nazar Se Aap Ko Nazar Na Lage…
`
Khamosh Raat Ke Pehalu Mein Sitare Nahi Hote
In Rukhi Aankho Me Rangin Nazare Na Hote
Ham Bhi Na Karte Parwah Aap Ki
Agar Aap Itne Pyare Na Hote…
`
Dil Ko Adat Si Ho Gai Hai Chot Khane Ki
Bhigi Palko Ke Sang Muskrane Ki
Kash Anjam Hum Pehle Se Jaan Jate
To Kosish Bhi Nahi Karte Dil Lagane Ki…
`
Zuban Hi Sirf Ek Zaria Nahi
Joaaap Shabdon Ko Samajh Paayenge
Kabhi Aankhon Mein Jhaank Kar Dekhiye
Hazaro Alfaz Khud B Khud Bikhar Jayenge…
`
Ek Najar Me Aap Dil Ke Mehamaan Bankar Gaye
Do Baate Karke Saara Jahan Ban Gaye
Paas Rehkar Bhi Log Hamare Ban N Paaye
Aap Dur Ho Kar Bhi Humre Kadrdan Ban Gaye…
`
Aye Dost Itna To Yaad Kiya Hota
Ek Pyaar Bhara Paigam To Bhej Diya Hota
Kaise Jeete Hain Hum Teri Yaad Mein
Ek Baar Is Badnaseeb Ka Haal To Liya Hota…
`
Baagon Mein Phool Khilte Rahenge
Raat Mein Deepak Jalte Rahenge
Khudaa Aapko Saari Khushiyaan De
Baaki Takleef To Hum Dete Hi Rahenge…
`
Kisi Ko Mil Jati Hai Rangeen Baharein
Kisi Ko Chaman Bhi Nahi Milta…..
Kisi Ki Kabar Par Banta Hai TAJMAHAL
Kisi Ko Kafan Bhi Nahi Milta…
Jane Q Chup Se Rehne Lage Hai
Apni He Zaat Main Ghum Se Rehne Lage Hai
Choti C Chot Pe Karte The Jo Shor Itna
Ab Dil He Dil Main Har Zakham Sehne Lagi Hai…
`
Lenay Se Teri Yaad Aati Hai
Yaad Anay Se Meri Jaan Jati Hai
Kaise Keh Don Ke Sirf Sans Se Zindagi Hai
Sans Bhi To Teri Yaad Ke Bad Aati Hai…
`
Dil Ki Mehfil Mai Ujala Kijiye
Roz Sweet Se Msg Dia Kijiye
Zindagi Khobsurat Ban Jayegi Janab
Apno K Liye Thora Waqt Nikala Kijiye…
`
Aap Ki Ninde Churayenge Hum
Har Waqt Sms Kar Satayenge Hum
Ap Ko Ayega Gussa Lekin
Us Gusse Me Hi Yaad Ayenge Hum …
`
Chhaye Hue The Badal Lekin Barse Nahi
Dard Bahut Tha Dil Me Par Hum Roye Nahi
Koi Na Humara Jo Humse Puche
Ki Jag Rahe Ho Kisi Ke Liye Ya Kisi Ke Liye Soye Nahi…
`
Meri Tanhayi Ka Mujhe Gila Nahi
Kya Hua Jo Koi Mujhe Mila Nahi
Phir Bhi Dua Karenge Tere Vaste
Tujhe Wo Sab Kuch Mile Jo Mujhe Mila Nahi…
`
Wo Jate Hue Keh Gaye Hum Se
K Hum Ab Sirf Ap K Khuwab Hi Me Aayenge
Koi Keh De Un Se K Wo Wafa To Karein
Hum Hamesha K Liye So Jaye Ge…
`
Kisi Ne Jab Bhi Wafaoo Ki Baat Ki Hogi
Apki Nigah Mujhe Dhoondti Rahi Hogi
Apke Salook Se Shikwa Nahi
Mere Khuloos Main Hi Shayed Koi Kami Hogi…
`
Kisi Tanha Ko Aur Tanha Mehasoos Karna Koi Tumse Sikhe
Kisi Ashique To Bewajah Fanaa Karna Koi Tumse Sikhe
Vo Hum Hai Jo Ab Bhi Bina Pani Ki Nav Me Patwar Chala Rahe Hai
Kisi Ko Itne Vade Kar Ke Bhool Jana Koi Tumse Sikhe…
`
Chand Lamho Ki Zindgani Hai
Nafrato Se Jiya Nahi Karte
Lagta Hai Ab Dushmano Se Gujarish Karni Padegi
Kyun Ki Dost To Yaad Kiya Nahi Karte…

No comments:

Post a Comment