Monday 19 March 2012

Mohabbatein Shayari गझल ए मोहब्बतें


Humnay Dil Tora Dharkanoun Kay Khauf Say
Apni Basti He Mita Di Barishoun Kay Khauf Say
Kon Kehta Hai Hamein Mohabbat Ras Agaye?
Hum Tu Youn He Hans Daitay Hain Ansoun Kay Khauf Say
Jab bhi yaad aate ho ye nazrain jhuka leta hon,
Bheegi bheegi palkon se Tumhe hoton tak la leta hon,
Tumse jo kuch keh na paya khud se woh sab kehta hon,
Guzri lamhe guzri baton ko yaad karta rehta hon,
Dil main bebasi nazron ki berukhi si khamoshi ko apna leta hon,
koi khol na de ye raaz ko daar ke nazrain hi jhukaye rakhta hon..
Har baar apki salamati ki dua karenge,
teri arzoo main apni hasti fanaah karenge,
tum chahe daman bachalo humse lekin….
Hum marte dum tak aapse wafa karenge!
Kuch rahe na rahe, teri mohabbat ka sahara rahe
Pyar main dooba, hamesha ye dil hamara rahe
Khushian teri, sare ghum mere hon dua yehi hai
Ankhoon main, sada chehra tumhara rahe
Intezaar rehta har shaam tera,
yaadain katati hain le-le kar naam tera…
Muddat se baithe hain yeh aas paale,
Ki aaj aayega koi paigaam tera….
Na thi JISKO mere pyaar ki kadar…
Itefaq se USSI ko chah rahe they hum…
Usi diye ne jalaya mere hathon ko,
Jisko hawa se bacha rahe they hum.!
Waqt aur khushi tere Gulam Honge,
Har Pal aur Pehlu Tere Hi naam Honge,
Jara Mud Kar Dekhna Mere Dost,
Tere Har Kadam ke neechemere hatho ke nishan Honge…
janaja wo mera rukwa ke bole,
lautenge kab tak kahan ja rahe hain??
saja jindagi ki yahan katkar hum ,
jahan se chale the wahan ja rahe hain
unse shikayt b kya karein..
humnae b kabhi izhaar nahi kiya…
hum unkae liye tadap-tae hain…
jinho-nae kabhi,humse pyaar nahi kiya
yun toh yaadein puraani nahi hoti..
pyaar pana sabki kismat nahi hoti..
hum dil rakh aaye unkae dar par,
yeh jaantae huve, ki unki nazraein zammeen par nahi hoti
apni har ik saans teri ghulam kar rakhi hai
logo mein ye zindagi badnam kar rakhi hai,
aaina bhi nahi ab to kisi kam ka,
hamne to apni parchhayi bhi sanam tere naam kar rakhi hai
kudrat ke usoloon me badal kyon nahi hota.
jo aaj hua hain wah kal kyon nahi hota.
har zheel main lehre hain aur har zheel me pani,
phir sabke mukudar main kamal kyon nahi hota.
jab tune hi duniya ka yeh divan likha hain ,
toh har aadmi ek pyaari si gajal kyon nahi hota.
baar baar na milne ki kasam khakar bhi mile hum,
phir aapne hi irado per aamal kyon nahi hota
Hum likhte nahin the kisi jamane mein,
par teri aashique ne shayar bana diya
Dil to hasta aaya hai jamane se
par ik pal to toone rula diya
Jaan phir bhee na nikali is diwane mein se
kyonki tere pyar ne mujhe amar bana diya
tujhse bichude hue mujhe ho gaye arse
yaad teri bahut aati hai dil tujhse milne ko tarse
zamana to pehle se dushman tha humara
ab mausam ko bhi dekho bin badal sawan bares
apane na ho sake jo dil kaa qaraar ho kar
aaNkhon mein bas gaye hain rang-e-bahaar ho kar
pahale na ye Khabar thi hai maut dil kaa aanaa
jo phool khil rahaa thaa khaTakaa vo Khaar ho kar
ham dil mein dafn kar ke sab murdaa hasaraton ko
Kaamosh jal rahe hain shamm-e-mazaar ho kar
ham apane dil kaa fasaanaa unhen sunaa na sake
lagi hai aaG jo dil mein use bujhaa na sake
teri talaash mein dar-dar ki Thokaren khaayin
meri wafaa ke qadam phir bhi Dagamagaa na sake
zaraa to soch ke us dil kaa haal kyaa hogaa jo door
reh na sake tere paas aa na sake
ham unko yaad na karate pe dil kaa kyaa kijiye hazaar bhoolanaa
chaahaa magar bhulaa na sake
badanaam na ho jaaye muhabbat ka fasaanaa
ai dard bhare aaNsuo aaNkhon mein na aanaa
duniya mein muhabbat ki yehi reet hai ai dil jal jaanaa
magar honTon pe fariyaad na laanaa

1) Aapse milkar khuda ki ibadat bhool gaye,
Aapki adayein dekh ke apni aadat bhool gaye.
yeh kaisa jaadu kar diya hai aapne
,Aapko chake duniya ki chahat bhul gaye
2) Is dil ko to bas teri yaad aati hai,aur is dil ko udaas kar jati hai,Koi poochta hai tumse pyaar kitna hai kuch nahi keh pate bas aankh bhar aati hai.
3) Jise ham kab se bhulaye baithe the,Wo aaj achanak hi yaad aa gaye,Jis gam ki barish ne kiya tha barbaad,Usi barish ke badal aaj phir cha gaye.
4) tere ishq me jeete hai tere ishq me marte hai,
tum khus raho sirf yehi dua hum kiya karte hai.
duniya ki to hume parvah nahi bas tumhe khone se darte hai.
5) jo sach nahi hai wo sapna hai,sapno se sikayat kaun kare,jo dard diya wo apna hai,apno se sikayat kaun karey.
6) Koi achi si saza do mujhko,Chalo aisa karo bhula do mujhko,Tum say bichroun tou moot aa jaye,Dil ki gharioun say dua do mujhko..
7) Hamare zakhmo ki vajaha bhi woh hai…hamare zakhmo ki dava bhi woh hai,woh namak zakhmo pe lagaye toh kya hua,mohabbath karne ki sazah hi woh hai…..
8) Par haste haste Kabhi woh bhi roye honge…Yadon me hamari woh bhi khoe honge,khuli aankho se kabhi woh bhi soye honge,Mana hasna hai Aada Gham Chhupane
ki,par haste haste Kabhi woh bhi roye honge…
9) Kyu dil mai koi arman nahi duniya itni viran nahi har taraf ujale hai phirbhi tere sath koi saya hi nahi koi bhi tera ho sakta hai kabhi tune apnayahi nahi
10) Insano ke kandhe pe insaan ja rahe hai.kafan me lipte kuch armaan ja rahe hai.jinhe nahi mili mohhobat duniya mein.mohhobat pane woh shamshan ja rahe the.

1.Jo dil mein hai woh likh dala hai humne;
Ki is tarah pyar beshumar tumse karte hai.
Hai jaan hazir gar tum kaho to;
Hum to apna dil tumhare kadamon mein rakhte hai.

2.Uss hasin chehre ki kya baat hai;
Har dil aziz, kuch aisi usme baat hai.
Hai kuch aisi kashish uss chehre mein;
Ki ek jhalak ke liye saari duniya barbad hai.

3.Teri yaadon mein jiyenge marenge;
Tujhe apni palkon mein chuppa lenge.
Uss chand se humein kya lena;
Hum to is dharti ke chand ko sine se laga lenge.

Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota
Tum is baat pe itna hasti, tum uss baat pe itna khush hoti,
Tum is baat pe ye kehti,tum uss baat pe wo kahati
shukar hai tum nahi ho!!!
 
jawaab teri shayari ka….
denge hum shayari mein….
naam tera likh baithe hain….
apne dil ki diary mein….
Tere pyaar ki roshni aisi hai ki
har taraf ujaala nazar aata hai
sochta hu ki ghar ki bijli katwa du
kambaqt bill bohat aata hai
Aap jaise log hume kuch khas lagte hai.
mann me har waqt hum ek aas rakte hai,
jaane kab aa jaye sms aapka
is liye cell ko dil ke pass rakte hai
You r my sweet SONA
I don’t want u KHONA
I want a place in your heart’s KONA
Otherwise i will start RONA
Atleast Good Morning to kar LONA
 
1) Shayad firse vo taqdir mil jaye, jivan ka sabse hasin vo pal mil jaye, chal
firse banaye sagar pe ret ka makan, shayad vapas apna BACHPAN mil jaye.

2) Khuda hamko aisi khudai na de,
Ki apne siwa kuch dikhayi na de,
Mujhe aisi jannat nahin chahiye,
Jaha se mera Dost dikhayi na de.

3) Aakhon me kyun aansu jhalak jate hai,Tanhaiyo me kyun gham yaad aate
hai,Aansu pochkar koi yeh bata de hume,Dur rehne wale dost hi aksar kyun yaad
aate hai.

4) Chote se dil ke afsane bahut hai, zindagi se jyada zakhm bahut hai, mar dalti
kabki ye duniya,kambakt pyaar ki duwayon me asar bahut hai
5) Mohobbat ki kashti me sawaar the hum,socha tha pahunch jayenge chahat ke gaon
mein,dubne lage to hosh aaya,hum to baithe the kagaz ki naav mein.

6) Har insan ki alag phachan hoti hai hamare sms ki alag shan hoti hai har kisi
ko nahi karte sms magar jinko karte hai osme hamari jaan hoti hai

7) Aye khuda ankho ko kuch aisi khudai de
jidhar dekhu udhar vo dikhai de.kash aisa taalmel ho hawa meunko pukaru aur unhi ko sunai de…

8) Har pal pe tera hi nam hoga,tere har kadam par duniya ka salam hoga,
mushkilon ka samna himat se karna dekhna 1 din waqt B tera gulam hoga . ..

9) wo aankhon mein ashq liye bethe hai,
hum bhi unke pyaar pagal hue bethe hai,
hum to jaan dene ko bhi tayyar hai,
magar vo hamari jaan bane bethe hain..

10) Aaj fir kuch kami hai tere bagair, na rang hai na roshni hai tere bagair.
Waqt apni raftaar se chal raha hai….. Bus dhadkan thami hai tere bagair!

Zaroori toh nahi ke jeene ke liye koi sahara ho
zaroori toh nahi ke hum jis ke hai woh bhi hamara ho
kuch kashtiyaa dhoob jaaya karti hai
zaroori toh nahi ke har kashti ke liye kinara ho
Jee lete hain Koi humein agar kahe bura,
dua dekar usse honton ko hum see lete hain
Dard ho chahe kaisa,
zehar yeh chupke se hum pee lete hain
ek woh din tha jab tere nazare mere aankhon se mile
phir woh din aaya jab mere ankhon se dard ka aansoon bahe
aaj woh din hai jab mere toote dil se lahoo hi nikale
kab woh din aayega jab mere seene se tere dil nikelenge

Ban sahara be-saharo ke liye
ban kinara be-kinaro ke liye
jo jeeye apne liye toh kya jeeye
jee sakke toh jee hazaro ke liye
Dard ko na dekhiye dard se
dard ko bhi dard hota hai
dard ko bhi zaroorat hai pyar ki
aahir pyar mein dard hitoh hamdard hota hai
Iss dil ko kisi ki aahat ki aas rehti hai
nigaah kokisi soorat ki pyaas rehti hai
tere bina zindagi mein kami toh nahi
phir bhi tere bina zindagi udhaas rehti hai

Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga

Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye,,
aag aise lagaye ke paani se bhi na bhuj paaye,,
Aaj bhi rote hain unhe yaad karke…

JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE..
Duao ki bheed mein ek dua hamari
jis mein maangi hai humne har khushi tumhari
jab bhi aap muskuraaye dil se
samjho dua kabool hui hamari

Mere dil ki yahi thi khwahish tujhe apna bana sakku
dard-e-dil ka haal sunna sakku
tum ne kabhi dekha hi nahi meri taraf pyar se
mauka mila hi nahi ke mein dil ki baat tumhe bata sakku

Judaai ke yeh lamhe kitne ajeeb hai
tu door ho ke bhi mere kareeb hai
hum ek ho kar bhi anjaan hai ik dooje se
yeh kaise hamare naseeb hai

Teri Qurbat mili ..magar tera Sahara na Milaa..
Qareeb puhanch ker bhi Sahil ke Kinara na Mila..
Dekhta Raha Gaur se mai hatheli apniii
Magar Mujhay apni Kismat ka Sittara na Mila…
 
yaado main kabhi aap bhi khoye hoge
khuli aankho se kabhi aap bhi soye hoge
maana hasna hai aadat ghum chupaane ki
par haste haste kabhi aap bhi roye hoge-hassan ali
 
rooth gaya hai mujhko manane wala
ab koii nahi hai nakhre uthane wala
par jaane kyu sochta hai ye khula darwaza
shayad rasta bhool gaya hai aane wala
ansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo…
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo…
dunya kisi ka zakham nahi samjte hai…
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo-hassan ali…
 
Kisi na kisi pe kisi ko aetbaar ho jata hai,
ajnabi koi shaks yar ho jata hai,
Khubiyon se nahin hoti mohabbat sadaa,
khamiyon se bhi aksar pyar ho jata hai.

INSAAN KE KANDHO PE INSAN JA RAHE THE,
KAFAN ME LIPTE KUCH ARMAN JA RAHE THE,
JINHE MILI BEWAFAI MOHABBAT ME,
WAFA KI TALASH ME WO SHAMSHAAN JA RAHE THE..

Kin lafzon mein itni kadvi kasili baat likhoon,
Main sach likoon ke apne haalat likhoon,
Kaise likhoon main chandni raatein,
Jab garam ho ret to kaise main barsat likhoon.

Sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate,
sabhi lowg mehfil mein bulaaye nahi jaate,
kuch paas reh kar bhi yaad nahi aate,
kuch door reh kar bhi bhoolaye nahi jaate!

Who IK Dost jo pyara sa Lagta Hain,
Bahut Pass Hai Dil k Phir bhi Juda Sa Lagta hain,
Bahut Dino Se Aaya Nahi Koi Paigam Uska,
Shayad Kisi Baat Pe Khafa sa Lagta hain-hassan ali
zindagi to ek khwab hai,
woh zindagi kiya jismay khwab nahi hotay,
hath ke lakiron ko kismat na samajhna,
kismat unke bhi hote hai, zinkay hath nahi hotay.
Ro Chuka Hu Me Itna Mujhe Kya Rulaega Koi,
Sun Chuka Hu Me Sab Kuch Mujhe Kya Bataega Koi,
Azmana Chahte Ho To Azmake Dekh Lo Mujhe,
Main Ek Bujhi Hui Shama Hu Mujhe Kya Bujhaega Koi !!!!!
Jab mujhe chorr ke ek din tu chali jaaye gi
kasam khuda ki mujhe teri yaad bohat aaye gi
jab kabhi lage gi towkar tere pathar dil ko
tab ja kar kahin tu apne kiye pe pachtaaye gi

AshkoN ko humne kayi baar roka,
phir bhi na jane kyoN ankheN dhoka de gayi,
Bharosa to tha hameiN apne aap par magar,
unka zikr aate hi naa jane kyoN palkeN nam ho gayi.

jaane waale chale jaate hain dost……
yaadein bhi khaak ho jaati hain…..
bas kuchh palon ki baatein hain…..
fir to parchhai bhi saath chhod jaati hai…
KABHI HUM BHEEGTE HAIN CHAAHTON KI TEZ BAARISH MEIN……..
KABHI BARSON NAHI MILTE KISI HALKI SI RANJISH MEIN…….. ..
BOHUT HAIN ZAKHAM IS DIL MEIN MAGAR EK ZAKHAM AISA HAI……
JAL UTHATA HAI RAATON MEIN JO LOTA DETA HAI BAARISH MEIN……

Jis shaam mere lab per tera naam na aaye…,
Khuda kare aisi shaam na aaye…;
Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin…,
Afsaana likhnu aur tera naam na aaye..!!!!

Wishwas ban ker log jindgi me ate hai wo
khwab banker ankho me sama jate hai wo
pahle to yakin dilate hai ki wo hamare hain
fir jane kuo tanha bana jata hai wo.
Log apna banake chhod dete hain,
Rishta gairo se jod lete hain,
Hum to ek Phool bhi na tod sake,
Log to dil bhi tod dete hain,

Ankho Me Mehfooz Rakhna Sitaro Ko
Aab Dur Talak Sirf Raat Hogi
Musafir Tum Bhi Ho Musafir Hum Bhi Hai
Kisi Na Kisi Mod Par Fir Mulakat Hogi..

Silsila pyar ka na khatam hua,,
juda hokar bhi ishq na kam hua,,
Vaada jinse kiye humse,,
Woh dard dekar,,Bewafa hua……… .

Bhari mehfil mein tanha mujhe rehna sikha diya,
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya,
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to,
Sab kucch zindagi mein chup-chaap sehna sikha diya



No comments:

Post a Comment